What Is Ransomware Virus In Hindi Ransomware Virus Kya Hai Hindi Me Jankari


What is ransomware virus ransomware virus kya hai

Hello Dosto"
Aaj Hum Baat Karne Ja Rahe Hain Ek Boht Hi Dangerous Software Ke Baare mein Ish Time Iski Knowladge Boht Hi Kam logo ko Hai Or Ye Janna Sabke  Liye Boht Hi Important Hai Kyuki Ye Encryption Ki Duniya Ka Sabse Khatarnaak Software Hai








1.Ransomware Software Kab Bana ?

Ransomware Software Ek Aaisa Software Hai Jo Apke Data Ko Encrypt Kar Deta Hai Ransomware Software 2005 Mein Rasia Mein Bana Wahan ke Hackers Ne Isko Ishliye Banaya Taaki Wahan Ke Logo Ko Loot Sakein Unhone Boht Tabahi Machayi Rasia Mein

Phir 2013 Mein Ye Virus Puri Duniya Mein Fail Gya  Or Inhone  Duniya Ki Sabse Badi Tele Communication Company Ke System Ko Hijack Kar Lia Hai Jo spane Mein Hai

Uk Ke 16 Hospitals Ke Data Ko Inhone Encrypt Karke Rakha Hai

Inhone Rasia Ke 100000 organization ko hijack Karke Rakha hai

Ransomware Ka Jayeda Attack Bade Bade Company Hospitals Organization Pe Hota Hai Par Agar Attack Karte Time Normal User Beech Mein Aa Gya Toh Uska Saara Data Encrypt Ho Jata Hai Or Usse Paise Mange Jate Hain






2.Ransomware Se Kya Hota Hai


Ransomware ek Aaisa Software Hai Jisse Apke pc ya leptop Ya Phir Smartphone mein lock lag jata hai agar aapki usme zaroorat ki files ya photos document hain Toh usme lock lag jata hai or Wo Lock Encryption Hota Hai jishe Itni Aasani Se Khola Nahi Ja Sakta Iska Saara Control Attacker Ke Pass Hota Hai Ye Ek Aaisa Virus Hai Jo Apke Pc Ya Leptop Ya Smartphone Mein Aate Hi Automatically Background Mein Work Karne Lagta Hai Or Saara Data Lock Kar deta Hai

Ab Aap Sochenge Ki  Window New Install Ya Hard Disk Ram Change Kar Lenge Par Window New Install Karne Se Bhi Kuch Nahi Hoga Aap Kuch Bhi Kar Lo Woh Hatega Nahi Or Agar Aap Ushe Unlock Karna Chahoge Toh Ransomware Ka Jo Owner Hai Woh Mangega Paise Ki Aap 100$ Pay Karo Main Aapko Unlock Key De dunga

Aaisa Nahi Hai Ki woh 100$ Hi mange Usse Jayeda Bhi Mang Sakta Hai

Ab Bhaiya Jiska Jayeda Hi Important Data Hoga Usme Office Ki  Files Ya Ghar Ke Papers NRC Ke Papers Etc

Woh Sochega Yaar 100$ Hi Toh Hain Pay Kar de raha hoon Warna 100$ Ke Chakkar Mein Desh Se Nikal Jaunga

Ab Agar Woh Banda Ushe Paise Transfer Kar Bhi Deta Hai Toh Woh Unlock Key Nahi Dega Boht Hi Kam Chance Hai Ki Woh Unlock Key De De Warna Dete Nahi Ye Paise Leke Gayab Ho Jaate Hain

Or Aaisa Suna Jata Hai Ki Ek Baar Ye Lock Lag Jaye Toh Ishe decrypt Na Mumkin Hota Hai


What is man in the middle attack in hindi


3. Attacker ( Ransomware Virus ) Se Karta Kya Hai



.Attacker Apke Pc Ya Leptop Ya phir smartphone Ko Control Kar Leta Hai 



Or Puri Tarah Lock Kar Deta Hai

.Attacker Apse Paise Mangta Hai 


.Attacker Apko Blackmale Karta Hai Data Leak Kar dunga


. Attacker Apka Data Puri Tarah Delete Kar Deta Hai


4. Ransomware Virus Work Kaise Karta Hai

Sabse Phele Hacker Ya Attacker Apko Email Pe Ek Spam link bhejta hai Jaroori Nahi Hai Ki Email Pe Hi Bheje Kisi Website Ke Duara Bhi Ransomware Software Apke Pc,Leptop,Smartphone Mein Aa Sakta Hai

Ab Aap Sochenge Ki Gmail Pe  Spam Filter Toh Hota Hai Jitne Spam Link Hai Woh Toh Ushi Mein Chale Jate Hai Toh Bhaiyaa Main Apko Bata Du Ye Attacker Ush Spam Filter Ko Bhi Bypass Kar Leta Hai

Uske Baad Attacker Ka Bheja Hua Email Seedha Apke Gmail Ke Inbox Mein Aata Hai Ush Email Mein Jo Link Hoti Hai Usme Ransomware Software Attached Hota Hai Jaise Hi Link Pe Click Hoga Waise Hi Automatically Woh Software Download Ho Jayega Ye Ek Command File Hoti Hai  Usko Open Karte Hi Woh Background Mein Run Karne Lagta Hai Or Apke device Ka control Kuch Hi Der Mein Attacker Ke Pass Chale Jata Hai

Agar Aap Untrusted Website Use Karte Hain Toh Ye Virus Automatically Apke Device Mein Aa Jata Hai

Example >> 1. Movie Site
2. Mp3 Download Site
3. Software Download Site
4. Untrusted Site
5. Banned Sites
6. etc

Lock Lagne Ke Baad Screen Kuch Aaisi Dikhti Hai



5. Payment Kis Wallet Mein Lete Hain
Ab Baat Aati Hai Payment Dene Ki Ab Aap Sochenge Ki Agar Bank Account Ka Number Mil Jaye Toh Pakad Jayega Ya Paytm,Paypal,Phone Pay,Google Pay, In Kisi  Bhi Wallet Ki Details Mil Jaye Toh Attacker Pakad Jayega

Toh Bhaiyaa Aap Galat Hain Ye Paise Bhi Lenge Or Pakde Bhi Nahi Jayenge  Kyuki Ye Bitcoin Wallet Mein Paise Lete Hain Jisko Track Nahi kiya Ja Sakta


Paise Dene Ka ek Time Hota Hai

1 Week = 100$
2 Week = 100$
3 Week = 100 $
1+2+3+= 300

.Means
First Time Jab Paise Mange Jayenge toh woh 100$ honge Or 100$ Ka Time Hoga 1 Week Ka
agar aap 1 Week Or Let Honge Toh Paise Dubble Kar Diye Jayenge 200$ Dena Honge Iske Hisaab Se Jitna Let Honge Utne Paise Badhenge

Jaroori Nahi 100$ Hi Mange


6. Ransomware Se Kaise Bache

Ransomware Se Bachne Ke Liye Apko Kuch Baato Ka Dhyaan Rakhna Hoga Kuch Tips Hain Jinko Aapko Follow Jaroor Karna Chaiye

 ( Apne Personal Computer Mein )

1. Apne Important Data Ko Computer,leptop,mobile Mein Na Rakhein

2. Apne Important Data Ka Backup Jaroor Banaye Online/Offline Dono Hi

3. Humesha Apne Software Ko Update Rakhein Or Latest Security Update ka Use Karein

4. Outdate Software or plugins Ka Use Na Karein

5. Latest Antivirus Ka Istemaal Karein Or Window Defender Hai Toh Usko On Rakhein

              ( Online Behavior )

1. Kisi Unknown Ka Email Aaya Hua Hai Toh Agar Message Hai Toh Check Kar Sakte Hain Or Koi Cheez Hai Toh Open Na Karein

2. Spam Emails Ke attachment download Nahi Karein

3. Malicious Website Ke links Ko  click Nahi Karein

4. Browser Mein Ad Blocker Ka Use Karein Taaki Koi Malicious Ad Nahi Aaye

5. Crack Game ya app Download na karein

6. Untrusted Website Use Na Karein



Ummeed Karta Hoon Apko Ransomware Ke Baare Mein Pata Chal Gya Hoga Ethical Hacking Se Related Kuch Bhi Sawal Ho Toh Aap Mujhe Comment Karke Puch Sakte Hain Agar Aap Ethical hacking seekhna Chahate Hain Toh subscribe kar lein

Post a Comment

0 Comments