What Is Man In The Middle Attack ( MITM ) How to Secure Man In The Middle Attack

Man In The Middle Attack Kya Hota Hai



Hii guys HackBox Ke Ish Interested Post Pe Aapka Swagat Hai Ish Post Mein Main Aapko Batane Wala Hu Man In The Middle Attack Kya Hota Hai Kaise Kaam Karta Hai Or Log Iska Istemaal Hacking Mein Kyu Karte Hain

Or Main Ye Bhi Bataunga Ki Man In The Middle Attack Se Kaise Bache


Kya Aapko Pata Hai Man In The Middle Attack Ka Use Koi Bhi Apke Duaara Chalayi Gayi Website Or Un Website Pe Aapne Kya Data Daala Kaha Pe Login Kiya Or Kisko Message Kiya Website Kya Order Kiya Aapne kounsi Details Bhari Ye Saari Cheeze Dekh Sakta Hai

 Or Toh Or Badal Bhi Sakta Hai

Maan Lijiye Aap Facebook Open Kar Rahe Hain Or Aapke Samne Jo Page Open Ho raha hai Facebook Jaisa hi hai Par Wo Real Facebook Nahi Hai Kyuki Beech Mein Uski Coding Ko Change Kar diya hai

Ye Sab Kaise Hota hai kyu karte hain ye sab main ish post mein batane wala hu


Man In The Middle Attack Kya Hota Hai


Man In Middle Attack Ko ( MITM ) Bhi Khete Hain Jaisa Ki MITM Ke Naam Se Pata Chalta Hai Ish Type Ki Hacking Mein Do Logo Ke Beech Ek Teesra Banda Aa Jata Hai


Or Un Dono Ke Conversation Ko Beech Mein Beth Kar Padta Rheta Hai Jaisa Ki Aap Niche Diye Gaye Photo Mein Dekh kar Samjh Sakte Hain

Jaisa Ki Aap Dekh Sakte Hain Do Bande Aapas Mein Baat Kar Rahe Hain

Or Beech Mein Attacker Unke Data Pad Raha Hai






Ish Hacking Mein Are Open Server Ka Use Kiya Jata Hai
Hum Mobile Internet Chala Rahe Hote Hain Toh Hum In Sab Cheezo Se Bache Hue Hote Hain



Kyuki Jo Humara Data Hota Hai Wo Humare Mobile Se Tower Or Phir Tower Se Company Par Company Se  Underwater Samundar Ke Duaara Ush Desh Tak Jaata Hai Jaha Par Humari Request Ki gayi File Kisi Server Par Hosted Hai Or Phir Wo Request Waha Se Ek File Lekar Aati Hai Or Phir OFC Ke Duaara Tower Or Tower Ke Duaara Humare Mobile Mein Wo File Open Hoti Hai

Example1. : Mobile >> Tower >> Company >> Underwater >> Hosted Server

Example2. : OFC >> Tower >> Mobile


Ishliye Mobile Internet Chalate Time ( man in the middle attack ) Hone Ki Ummeed Nahi Hoti Hai Kyuki Data Provider Ke Security Ko Break Karna Itna Aasan Nahi Hota Hai

Kya Aapko Pata Hai MITM Sabse Jayeda Kaha Kiya Jata Hai Chaliye Main Apko Batata Hu






Man In The Middle Attack Sabse Jayeda Open Hotspot Ya Router Mein Kiya Jata Hai

Jab Kahin Bhi Aapko Open Hotspot Ya Router Milta Hai Toh Aap Usse Connect Ho Kar Internet Chalane Lagte hain Ushi Time Ush Hotspot Ya Router Se Connect Attacker Jitne Bhi Log Connected Hote Hain Unki Information Attacker Nikal Sakta Hai

Or Wo Unke Message Pad Bhi Sakta Hai Change Bhi Kar Sakta Hai Ye Sab Ek Software Ki Madad Se hota hai Naam Hai Shark Wave


Shark Wave


Ab Baat Aati Hai Shark Web Mein Aaisa Kya hota hai Ki Uski Madad Se Aap Ek Hi Hotspot Ya Router Se Connected Hue Logo Ka Data Hack Kar Sakte hai



Shark Web Kaise Kaam Karta Hai


Jab Hum Kisi Bhi Website Ko Open Karte Hai Toh Wo Data Humare Mobile Se Packed Ke Form Mein Nikalta Hai Or Packed Ke Form Mein Aata Hai


Open Wifi Mein Us Packed Mein Koi Bhi Encryption Nahi Hota Hai Or Koi Password Bhi Nahi Laga Hota Hai
Aaise Mein Attack Un Packed Ko Copy Kar Leta Hai

Or Phir Software Ki Madad se Packed Ke data Ko Open Karta Hai

Jisme Humari Saari Information Dikh Jaati Hai Or Sirf Itna Hi Nahi Wo In Information Ko Change Bhi Kar Sakta Hai

Mobile Ya Computer Ko Lagega Ye Information Router Ya Hotspot Se Pahuch Rahi Hai Or Mobile Ushe Sahi Maan kar Apko Show Kar Deta Hai



Man In The Middle Attack Se Kaise Bache


Agar Aapko Kabhi Bhi Kahi Par Open Hotspot Ya Router Milta Hai Toh Aap Koshish Kijiye Apna Personal Data Ya Koi Bhi Id Account Login Na Karein

Agar Aapko Website Par Personal Data Dalna Ya Account Login Hi Karne Ki Mazboori Pade Toh Aaise Mein Aap Vpn Ka Use Karein Virtual Private Network  Isse Aapka Data  Secure Rahega Encrypted Mein Data Aayega Or Jayega

Post a Comment

0 Comments